aarzu bahaaron ki

ai aakhir-e-shab ke mah-paro
mujhe bhi tum apne sath le lo

ki dasht-e-tanhai mein ghamon ki
fasil par main khada hun tanha

khada hun aur tak raha hun un
be-karan andheron mein jaane kab se

ki aakhir-e-shab koi musafir
bhatak ke rah-e-tarab se aae

kuchh us gali ka pata batae
ki jis mein tute hain meri chashm-e-umid

se aarzuon ke tare
jinhen andheron ne das liya tha

jo raushni ke payambar the
batae mujh ko ki ab wo chashm-e-tarab

kahan hai kis haal mein hai
ki jis ki khatir jalae hain

hasraton ke kitne charagh hum ne
magar wo zulm-o-sitam ki aandhi

jo dast-e-insan se chhin leti hai
chand roza hayat ke din

aur is ke badle mein bakhsh deti hai
bhuk-o-iflas o pyas ke din

wo bhuk aur pyas jis ke shoalon mein
an-ginat jism phunk rahe hain

ye nange bhuke bilakte bachche
ki jin ki aankhon se ris raha hai

uruj-e-insaniyat ka pani
sunahre sikkon ke dher

jin par
wo lothade gosht ke jo baithe hain

ban ke ajgar
unhen uthao

utha ke kheton mein dafn kar do
ki un ki ek musht khak

insaniyat ki kheti mein kaam aae
ki zindagi un ki ek nasur hai

zamane ke jism-o-jaan par
sunahre sikkon ke dher

ban jaen baaliyan
jau ki gehun ki chawalon ki

ye baaliyan
phir kisi ke kanon mein jhilmilaen

ye chand ban kar
watan ke mathe pe jagmagaen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close