ye sanson ke chalne ko kyon zindagi ki alamat kaha hai ye sansen to muflis ki bhi chal rahi hain gharibi ke shoale nigalna aur is sans ki khasta rassi pe chalna agar meri koi karamat nahin hai to main sal-ha-sal se ek kartab kiye ja raha hun ye sab ek circus hai aur kuchh nahin hai ki jis mein faqat main gharibi ke shoale nigalta hua sans ki khasta rassi pe chalta hua ek tamasha bana hun jise dekh kar zindagi sitiyan ab bajaane lagi hai azal se ye dastur qaem hua hai ki muflis ki aulad bhi muflisi katti hai chalo ab ye dastur hi tod dalen wo yun badbadaya to phir us ne khanjar se apne gharibi ke iklaute waris ki sanson ki rassi ko hi kat dala wo khush tha ki ab us ka lakht-e-jigar muflisi ki aziyyat se aazad yun ho gaya hai ki jaise kisi qaid se koi panchhi to faqe ke dhagon mein uljhe badan ki achanak se aankhon ke parde hate aur wo aalam-e-khwab se jag uttha to us ki nigahon ne apne gharibi ke iklaute waris ko dekha to rone laga wo ki us ki tarah us ki ghurbat ka waris gharibi ke shoale nigalta hua sans ki khasta rassi pe chalne laga hai wo bhi ek circus ka joker bana hai jise dekh kar zindagi sitiyan phir bajaane lagi hai