aarzu rahiba hai be-kas-o-tanha-o-hazin aarzu rahiba hai umr guzari jis ne inhi mahrum-e-azal rahibon mabad ke nigahbanon mein in mah-o-sal-e-yak-ahang ke aiwanon mein kaise mabad pe hai tariki ka saya bhaari ru-e-mabud se hain khun ke dhaare jari rahiba raat ko mabad se nikal aati hai jhilmilati hui ek shama liye ladkhadati hui farsh-o-dar-o-diwar se takraati hui dil mein kahti hai ki is shama ki lau hi shayad dur mabad se bahut dur chamakte hue anwar ki tamsil bane aane wali sahar-e-nau yahi qindil bane aarzu rahiba hai be-kas-o-tanha-o-hazin han magar rahibon ko is ki khabar ho kyunkar khud mein khoe hue sahme hue sargoshi se darte hue rahibon ko ye khabar ho kyunkar kis liye rahiba hai be-kas-o-tanha-o-hazin rahib istada hain marmar ki silon ke manind be-karan ijz ki jaan-sokhta virani mein jis mein ugte nahin dil-sozi-e-insan ke gulab rahiba shama liye phirti hai ye samajhti hai ki is se dar-e-mabad pe kabhi ghas par os jhalak utthegi sang-rezon pe koi chap sunai degi