samundar ki lahron mein latke libaade sa laghar badan ye hanger pe khud-kushi ka sirhana laga kar nasir aur zirak ki nazmen kisi raegani ke zer-e-asar padh raha hai lipatti jhapatti shararat se bharpur lahron ka panw bhigona kisi bad-shuguni ki jaanib ishaara nahin mujh mein aisa samundar hai jis ka kinara nahin raushni ko chhuti hui raushni raegani mere pairon ki mitti ko mathe ka jhumar bana aur us ko bata sahilon par bahut gandagi hai