ek ru-pahli si choti par jagmag jagmag jag raha hai aas-mahal unchi unchi rang-rangili diwaren hain chaaron jaanib har patthar par mani aur bahzad se badh kar nae anokhe naqsh bane hain diwaren hain kitni anokhi jin mein lakhon taq bane hain in taqon mein meri aankhen larzan larzan dipak ban kar har-dam jalti rahti hain aur ye mere nirmal aansu dare dare se sahme sahme chehre ban kar jaane kis ko jhankte hain aur chhup jate hain bade bade aaseb-zada in kamron mein bhuli-bisri yaaden us ki dabe dabe panw chalti hain jin ki aahat ruh ke sune dalanon tak chikhen ban kar aati hai jaane kab se aas-mahal se main aankhen aur aansu ban kar viran viran suna suna andha rasta dekh raha hun