ye pagdandi chalte chalte jangal mein se phirti phiraati dur hain ghane ghane pedon mein chhupe ek mandir tak le jati hai bahut purani kai-zada si sidhi chadh kar mandir mein jab dakhil hun to farsh ke upar bikhre hue kuchh pile patte milte hain ya kahin kahin pe jalti jalti aankhon wale sanp dikhai dete hain diwaron par naqsh purane maddham maddham bahut purane qisse le kar jag rahe hain jin se kuchh anjaani si khushbuen lipti hanp rahi hain beach mein ek asthan ke upar pyari si ek murat hai jo janm janm se sochon ke patal mein dubi jag rahi hai kabhi kabhi ek chhan-chhan chhan-chhan hawa mein tairti jati hai aur haule haule siski ban kar bikhar bikhar si jati hai phir gahri chup mein kone se chamgadad koi udti hai to chup ki chikhen mandir ki har murat ko dahlati hain jaane kab se aisa hota aaya hai ye gunga mandir pagdandi ko khali khali aankhon se yunhi dekhta rahta hai aur pagdandi is gahri chup se tang si aa kar ulte qadmon jang mein se phirti phiraati wapas shahr ko jati hai aur koltar ki sadkon mein kho jati hai