post-man ki cycle ki ghanti mere dil ki dhadkanen badha deti hai khat hath mein aate hi un ki yaaden bhi sath chalti aati hai ek madhosh karne wali lifafe ki khushbu zehn par chha jati hai siyahi ki likhawat us ki ungliyon ki chhuwan yaad dilati hai kaghaz ka khurdura ehsas dil ko gudgudata hai patr par likha mazmun thand ki garm chae sa garmata hai aise jaane kitne khat dakiya lata raha aur har diwali par inhin khaton ka inam pata raha