hamare sheron mein maqtal ke istiare hain hamare ghazlon ne dekha hai kucha-e-qatil salib-o-dar pe nazmen hamari latki hain hamari fikr hai zakhmi lahu-luhan hai fikr har ek lafz pareshan har ek misra udas hum apne sheron ke mafhum par pasheman hain khuda kare ki jo aaen hamare baad wo log hamare fan ki alamat ko samajh na saken charagh-e-dair-o-haram se kisi ka ghar na jale na koi phir se hikayat-e-raftagan likkhe na koi phir se alamat-e-khun-chakan likkhe fasil-dar saron ke charagh raqs-e-junun sarab-e-tishna-labi khar aabla-pai darida-pairahani chaak-damani wahshat sumum, aatish-e-gul, barq, aashiyan, sayyaad riwayaten ye mere ahd ki alamat hain alamaten ye mere sher ka muqaddar hain khuda kare ki jo aaen hamare baad wo log hamare fan ki alamat ko samajh na saken charagh-e-dair-o-haram se kisi ka ghar na jale na koi phir se hikayat-e-raftagan likkhe na koi phir se alamat-e-khun-chakan likkhe