aasar-e-qadima se nikla ek nawishta

hamari aankh mein nokile kante
aur badan mein

zahr ke neze taraazu ho chuke the
jab siyah shab ne

gulabi subh ke gharqab hone ki khabar par
hum se fauri tabsira manga

hamare hont
itne khushk,

aur itne darida the
ki hum ek lafz bhi kahte

to reza reza ho jate
qalam hathon mein kya lete

ki apne hath pahle hi qalam the
(kya sukhan kahte

kahan likhte, kise likhte)
so ahl-e-jah ne

jo tabsira (jo qatl-nama) samne rakkha
hum ahl-e-sabr ne

khun-rang honton ki darida mehr
us par sabt kar di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close