adhure mausamon ka na-tamam qissa

ye kaun jaane
ki kal ka suraj

nahif jismon sulagti ruhon pe
kaise kaise azab lae

gai ruton se jawab mange
nazar nazar mein sarab lae

ye kaun jaane!
ye kaun mane

ki lauh-e-ehsas par gae mausamon ke jitne bhi
naqsh kanda hain

sab ke sab
aane wali saat ko aaina hain

jo aankh padh le
to marsiya hain

ye kaun dekhe ye, kaun samjhe
ki subh-e-kazib ki bargahon mein sar-ba-sajda amin chehre

kadi masafat pe panw dharne se peshtar hi
giran naqaben ulat rahe hain

rah-e-riya ko palat rahe hain
ye kaun samjhe ye kaun jaane!!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close