mujhe daraya gaya tha bachpan mein ek aaseb se wo aaseb! jis ka phulon ke bich ghar tha wo shokh phulon ki chhanw mein palne wali khushbu ka ham-safar tha mujhe daraya gaya tha lekin tawil garmi ki har suhani si dopahar ko main apni man ki nazar bacha kar gulabi nindon ki reshmi ungliyan chhuda kar dahakte phulon ke darmiyan khelti thi pahron ajib din the ki un dinon mein dahakte phulon ke bich khushbu ke ham-safar se meri mulaqat jab hui thi main dar gai thi ki mujh mein bachpan se ajnabi khauf pal raha tha mujhe bhi aaseb ho gaya tha magar ye aaseb! ab to mujh mein utar raha hai hasin phulon ke bich khwabon ke sabz mausam mein us ke hathon mein hath dale main khushbuon ki tarah hawaon mein ud rahi hun
This is a great gulabi dress shayari. True lovers of suhani subah shayari in hindi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this reshmi zulfein shayari in hindi is truly a work of art. Please share if you liked this!!!