aaseb

ye mera wahm hai shayad
magar aksar

mere har har nafas se be-sabab paiham ulajhte
silsilon ki raushni mein

mujhe mahsus sa hone laga hai
ki har lamhe ki sangin ot mein

simta hua haalat ka ifrit
shikast-o-rekht ke darpe

barabar tak mein baitha hua hai
yahi haalat ka ifrit

inhi lamhon ki parbat se utar kar
wasuq-e-jabr se chha jaega yalghaar ban kar

taraddud se tadabbur se tarashi
in fazaon par

jinhen khush-fahmiyan meri
abhi tak shauq se deti rahi hain

suhana nam apni kaenat-e-zehn-o-dil ka
ye meri kaenat-e-zehn-o-dil bhi

agar is umr ke mahdud arse tak
mera hissa nahin hai

mere aamal par mabni
na koi haal hai mera

na kuchh ummid farda ki
mere aamal par mabni

meri uqba bhi kya hogi
meri uqba bhi kya hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close