rang mein dub ke nikhri hai faza aaj ki raat daman-e-farsh mein hai nur-e-khuda aaj ki raat gudgudati hui ehsas ka har tar-e-latif gungunati hui phirti hai hawa aaj ki raat bas ka lams masiha hai saba aab-e-hayat dard ko dhundhti phirti hai dawa aaj ki raat odh li raunaq-e-bazar-o-dar-o-baam ne bhi ramish-o-rang ki mahfil ki qaba aaj ki raat shauq-e-tazin se be-sakhta mahki hai haya lakshmi-rup suhagan ne bhara aaj ki raat dip hi dip hain har samt jidhar bhi dekho jalwa-e-husn-e-tanasub hai siwa aaj ki raat jagmagate hain lab-e-baam sitaron ki tarah kar gai naql-e-khuda khalq-e-khuda aaj ki raat shor aur gul mein numayan hai tasalsul tartib thap table ki hai aahat ki sada aaj ki raat bachpana bandish-e-parwa se barabar mafrur khel aur kud mein hai mast hawa aaj ki raat nar se chhed rahe nur ke diwanon ki kya hua hath jala pair jala aaj ki raat bazi-e-jaan ke khiladi hain yahi khelne wale dekhiye ye bhi panapne ki ada aaj ki raat zist ek mashghala-e-aish nazar aati hai surat-e-zinda-dili kya na hua aaj ki raat