bas ek rah pahunchti thi shahzadi tak wo rah jis mein hazaron the pahre-dar khade phir us ke baad haweli ke sat darwaze magar kamal the shahzadgan-e-waqt bhi jo safed ghodon pe ho kar sawar nikle aur haweliyon se chura lae apni shahzadi ye ek main ki tumhaari gali mein jab bhi badha meri ana ka purana sa ek darwaza mere qadam ko gali hi mein rok leta hai