ai dost! kabhi to aa ke mil ye dil tere liye jari hai dil jari hai dil aath pahar se jari hai jaise koi dariya sawan mein jaise koi barkha jade mein aise mein badri kari hai dil jari hai dil aath pahar se jari hai kabhi dil do-guna ho jata hai jab tera dard samata hai har sans mein ras mil jata hai tere hone ka tere nind-nagar mein aane ka dil jari hai dil azlon-azal se jari hai tujhe nind samajh ke so lun main aur odh ke jiwan kar lun main ye nind adhuri hoti hai kahin sapne mein khul jati hai tujhe kaise odhun kambal mein tujhe kaise pahnun jade mein tujhe kaise bitun barson mein jo bit chuka wo baadal tha ab bitna chahun libason mein tujhe odhna chahun kapason mein kabhi aa ke mil aise ki achanak dhup khule aise ki achanak sham dhale aise ki achanak dard uthe meri nas nas mein aur tu us dard mein shamil ho