kitni yaaden jala chuka hun main kitne arman bujha chuka hun main kursiyan khinch kar mere nazdik apne mazi pe sochne wale dastan bun rahe hain mazi ki katkatate hue wo chilghoze chhil kar munh mein dalte jaen aur shoalon se khelte jaen yaad aaen jo shoala-ru lamhe jhurriyon se ate hue chehre ek pal ke liye damak uthen aakhiri lau charagh ki jaise phir unhin kursiyon mein dhans jaen band aankhon se mashq karte rahen hashr tak gahri nind sone ki