ladakpan ki rafiq ai ham-nawa-e-naghma-e-tifli hamari gyarah sala zindagi ki dil-nashin wadi hamare zehn ki takhil ki ehsas ki sathi hamare zauq ki rahbar hamari aql ki hadi hamare daman-e-afkar par tera hi saya hai khusha school ki hum ne tujhi se faiz paya hai hamari dhadkanen tere hi baam-o-dar mein pinhan hain tere mahaul mein hum sab ke mahsusat ghaltan hain hamari aarzuen tere dalanon mein raqsan hain nuqush-e-ahd-e-rafta tere mathe par numayan hain hamare waste tu ek lafani masarrat hai hamein school tere zarre zarre se mohabbat hai tere aaghosh mein bachpan ke hum ne din bitae hain tere aangan mein kitna roe kitna muskurae hain yahan masrur aankhon mein nae arman jagae hain yahan masum honton se tarane hum ne gae hain tere sae mein bachpan ki suhani yaadgaren hain hamare ahd-e-gum-gashta ke lamhon ki qataren hain yahan se dosti ki kitni tamiren uthai hain rafaqat ki hayat-afroz duniyaen basai hain yahan par shokhiyon ki be-karan maujen bahain hain yahan bazmen sajai hain yahan dhumen machai hain tere pahlu mein kitni hi anokhi wardaten hain tere honton pe kitni hi tabassum-rez baaten hain tere daman se hum ne qimti lamhat pae hain khulus-o-unsiyat ke be-baha jazbaat pae hain tere saghar se hum ne faiz ke juraat pae hain hamari fikr ne tujh hi se rujhanat pae hain tujhe pa kar jo paya hai use hum kho nahin sakte tere hain tere apne hain parae ho nahin sakte nae sazon pe jab tere tarane gae jaenge nae ghunche tere gulzar mein jab muskuraenge nai kirnon se jab tere dariche jagmagaenge nae arman jab tujh mein nai jannat basaenge nae sathi tere aangan mein jab dhumen machaenge to shayad hum bhi ai school tujh ko yaad aaenge ye mana zindagi hum ko bahut masruf kar degi hamare zehn ko duniya ke andazon se bhar degi hazaron masalon par dawat-e-fikr-o-nazar degi ki jab thodi si mohlat gardish-e-sham-o-sahar degi gham-e-dauran se jab bhi fursat-e-yak-lamha paenge teri yaadon mein kho jaenge khud ko bhul jaenge