bhulne wale aao phir se tajdid-e-wafa karte hain jahan se hath ki lakiren noch dali thin phir se un mein rang bharte hain jab dhalne lage raat ka pahra phir subh ka dam bharte hain tujh ko wo pal yaad to honge naghme band aankhon mein tairte honge yaad hai wo sab qahr ki thandi raaten qaus-e-quzah ke rangon si baaten tasawwur-o-taswir bani hai takhliq meri kuchh tarif kuchh tasdiq teri meri baaton se kuchh mausam yaad aa jaenge tujh ko sab mafhum samajh aa jaenge yaqin hai mujh ko aise hi phir ek din aa milega tu meri tarah kuchh sulagta sa kuchh bujha-bujha sa bikhra bikhra udasiyon mein sisakta sa jhuki-jhuki aankhon mein aansu kuchh pashemani si chehre pe khamoshi thahri kuchh hairani si zakhm ka ghaw jab bhar jaega tab chain kahin aa jaega tu bichhda tha ek zid mein aa kar khud hi ab aatishi diwar giraega