nazm

wo shakhs khizan ke mausam mein
aksar ek shakhs khizan ke mausam mein

yaad bahut aata hai
jab udasiyan mujh ko gherti hain

sabz patte apna rang badalne lagte hain
jis waqt ufuq ke bistar mein

chand ki kirnen soti hain
tab shakhen barahna ho jati hain

un shakhon ke jismon ko
shabnam chhune lagti hain

un ujdi ujdi shakhon se
tez hawaen

lipat lipat kar roti hain
jab andhera apni banhon mein raat ko le kar

rukhsat hota hai
khizan ke mausam jaisa jab dil hone lagta hai

tab aksar wo shakhs yaad bahut aane lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close