aawagawan By Nazm << adhuri bholi-bhaali chiDiya >> zindagani ki patang sans ki nazuk si dori par hai parwaz-azma kaun jaane kab kahan dori ka rishta tut jae aur kaghaz ka badan andhi hawa ke dosh par haule haule rafta rafta wadiyon dariyaon pahadon sahraon se guzar kar ja gire ek ajnabi se des mein Share on: