bholi-bhaali chiDiya

ai pyari pyari chidiya
surat mujhe dikha ja

bholi si teri surat
dil mein basi hai murat

nannhi si chonch teri
kaisi bhali hai lagti

ek rag tu suna ja
ai bholi-bhaali chidiya

shakhon pe baithi baithi
aanand se chahakti

kis ko hai yaad karti
dam kis ka tu hai bharti

duniya ke nek-o-bad se
kine se aur hasad se

tujh ko nahin khabar kya
ai bholi-bhaali chidiya

patton pe chahchahana
aur dil ko yun lubhana

udna ye dali dali
kab lutf se hai khali

kya pak zindagi hai
kya shanti khushi hai

bhata hai rag tera
ai bholi-bhaali chidiya

kya mithi ragni hai
kya shakl mohni hai

teri ye chun chun pyari
aur phirna kyari kyari

tera phudakna har dam
aur bolna gajar dam

tujh se hai ghar suhana
ai bholi-bhaali chidiya

wo subh ka jhamkada
mil-jul ke aur wo gana

wo sham ka basera
dil ko bhala hai lagta

chhat mein wo ghonsla hai
wo bhi bahut bhala hai

har dhang tera pyara
ai bholi-bhaali chidiya

nadan bachche tu kya
jaanega us ka kahna

chidiya jo bolti hai
aur moti rolti hai

makhluq hai khuda ki
hasti hai ye wafa ki

karti hai zikr rab ka
ye bholi-bhaali chidiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close