khub hans lo meri aawara-mizaji par tum main ne barson yun hi khae hain mohabbat ke fareb ab na ehsas-e-taqaddus na riwayat ki fikr ab ujalon mein na khaungi main zulmat ke fareb khub hans lo ki mere haal pe sab hanste hain meri aankhon se kisi ne bhi na aansu ponchhe mujh ko hamdard nigahon ki zarurat bhi nahin aur shoalon ko badhate hain hawa ke jhonke khub hans lo ki takalluf se bahut dur hun main main ne masnui tabassum ka bhi dekha anjam mujh se kyun dur raho aao main aawara hun apne hathon se pilao to mai-e-talkh ka jam khub hans lo ki yahi waqt guzar jaega kal na waraftagi-e-shauq se dekhega koi itni masum latafat se na khelega koi khub hans lo ki yahi lamhe ghanimat hain abhi meri hi tarah se tum bhi to ho aawara-mizaj kitni banhon ne tumhein shauq se jakda hoga kitne jalte hue honton ne liya hoga khiraj khub hans lo tumhein bite hue lamhon ki qasam meri bahki hui baaton ka bura mat mano mere ehsas ko tahzib kuchal deti hai tum bhi tahzib ke malbus utaro phenko khub hans lo ki mere lamhe gurezan hain ab meri rag rag mein abhi masti-e-sahba bhar do main bhi tahzib se bezar hun tum bhi bezar aur is jism-e-barahna ko barahna kar do