ajib wo sail tha ki jis ne kanar-e-dariya ki sarhadon mein nae izafe kiye hain taza zamin aabaad kar gaya hai ajib wo dhup thi jo pesh-az-sahar ki saat ke ghar mein utri to jaise soe hue labon par nishan-e-ulfat laga gai hai ajib lamha tha jis ne sar par chamakte suraj ke garm raste pe pa-barahna safar kiya hai wo dhup tere jamal ki thi wo sail mere khayal ka tha wo lamha tere visal ka tha