khabar nahin tum kahan ho yaro hamari uftad-e-roz-o-shab ki tumhein khabar mil saki, ki tum bhi rahin-e-dast-e-khizan ho yaro dinon mein tafriq mit chuki hai ki waqt se khush-guman ho yaro abhi ladakpan ke hausle hain ki be-sar-o-saeban ho yaro hamari uftad-e-roz-o-shab mein na jaane kitni hi bar ab tak dhanak bani aur bikhar chuki hai urus-e-shab apni khalwaton se sahar ko mahrum kar chuki hai dahakte sahra mein dhup kha kar shafaq ki rangat utar chuki hai bahaar ka taziya uthae nigar-e-yak-shab guzar chuki hai umid-e-nau-roz hai ki tum bhi bahaar ke nauha-khwan ho yaro tumhaari yaadon ke qafile ka thaka hua ajnabi musafir har ek ko aawaz de raha hai khafa ho ya be-zaban ho yaro