dasht-e-garm-o-sard mein ye be-dayaron ka hujum be-khabar mahaul se chup-chap khud se ham-kalam chal raha hai sar jhukae is tarah jis tarah marghat pe ruhon ka khiram zard chehron par hai sadiyon ki thakan sans lete hain kuchh aise jaise hoti ho chubhan hont par ghamgin tabassum aur sine mein buka har qadam par haddiyon ke kadkadane ki sada un ki aankhen jin pe hukm-e-dida-e-bina lagate hain dewtaon ki basirat kanp jae zehn o dil ka fasla tai karte karte hanp jae wusat-e-arz-o-sama ek dida-e-hairan hai uf! ye mela kis qadar viran hai!!