to phir us raat ki pur-haul siyahi mein abhi barq si kaundti taskin ko shaq karti hui mere ehsas meri ruh ko barmati hui jaani pahchani si aawaz kahan se aai kis ne ye khwab-shikan bang-ba-shakl-e-muzhda is tarah ki hai buland is shab-e-tanhai mein jaise is raat ki satwat hai tanazzul-paira aur khwabon ki sahar takht-e-ufuq par jaise abhi aai ki bas aai rukh-e-zeba le kar