chain se kat le lamhat-e-asiri ai dil nind se chaunk ke taskin na kho sabr to kar tund-khu ye tere lamhat-e-asiri ai dil tere anfas ki garmi se hararat pa kar sikhchon mein se guzarte hue phandte todte diwar-o-dar-e-zindan ko raat ki raj-dulari ko thapakte gate subh ke shokh sitare ki taraf badhte hue su-e-khwabida-sahar matla-e-anwar ki samt badh rahe hain nai ummid ka daman thame tund-raftari-e-lamhat-e-asiri ki qasam nind se chaunk ke taskin na kho sabr to kar