june ne junhi jalwa dikhaya dil ne khushi ka naghma gaya aaya aam ka mausam aaya hum ne garmi ki chhutti mein mithe aam ka lutf uthaya aaya aam ka mausam aaya shiddat jab garmi ki badhi to mere rab ne meinh barsaya aaya aam ka mausam aaya pahle is ko freeze mein rakkha batn mein is ke baad bithaya aaya aam ka mausam aaya kuchh bhi na chhoda juz chhilkon ke guthli chusi guda khaya aaya aam ka mausam aaya chaunse ka ras chusa hum ne sindhdi ka phir shake banaya aaya aam ka mausam aaya khud wo kitna mitha hoga jis ne shirin aam banaya aaya aam ka mausam aaya