ye hum kaun hain waqt ki shah-rahon pe nange qadam tez tez dhup mein be-rida be-aman raste mein koi mil patthar nahin aur hawa-e-masafat guzarte hue ruk ke kahti hai ye koi manzil tumhaara muqaddar nahin ye hum kaun hain be-yaqini ke sahil pe tanha khade aankh ki kashtiyan paniyon ke safar par rawana huin dur tak nilgun sabz pani ka girdab hai wapsi ka tasawwur bhi ab khwab hai khwab hai ye hum kaun hain nind mein jagte khwab mein bhagte khema-e-jaan ko apne hi hathon mein thame hue jin ke kachche gharondon ko be-waqt ki barishen kha gain sab sitam dah gain ye hum kaun hain sajda-gah-e-mohabbat mein jin ki jabin sang-e-dar ho gai mo'atabar ho gai aur honton pe harf-e-dua tak nahin iltija tak nahin aasmanon ki khidki khuli hai magar khaliq-e-shash-jihat malik-e-bahr-o-bar dekh sakta nahin puchh sakta nahin ye hum kaun hain