ai jaish-e-sarfarosh-jawanan-e-khush-nihad sine pe tere kund hui tegh-e-ishtidad ghurbat mein di hai tu ne shujaat ki khub dad aqwam-e-dahr karti hain jurat pe teri sad tu kaamgar ho tere dushman hun na-murad hindostan ki fauj-e-zafar-mauj zindabaad dariya-o-dasht-o-koh mein tera bigul baje jis ki sada se gumbad-e-gardun bhi gunj uthe maidan mein maut bhi ho mujassam jo samne tere dilawaron ke na hon past hausle ho balki un ka josh-e-amal aur bhi ziyaad hindostan ki fauj-e-zafar-mauj zindabaad pardes mein jo khet rahe hain jawan tere hain dafn zer-e-khak khazane wahan tere barma ke jangalon mein lahu ke nishan tere naqsh-e-dawam hain wo tah-e-asman tere ta-roz-e-hashr ahl-e-watan ko rahenge yaad hindostan ki fauj-e-zafar-mauj zindabaad ghaalib tha bas-ki sahir-e-afrang ka fusun do sau baras se tha alam-e-hind sar-nigun tu ne dayar-e-ghair mein dikhla diya ki yun mardan-kar karte hain baatil ko gharq-e-khun baatil ho khwah koh-e-giran khwah gard-baad hindostan ki fauj-e-zafar-mauj zindabaad