ishwar pararthna

ai hamare kibriya tu khaliq-o-mabud hai
hast hai tu nist mein madum mein maujud hai

shaukat-e-jah-o-hasham hai manzil-e-maqsud hai
apne bandon ki haqiqat tujh se kab mafqud hai

ai khuda ab tu zara hindostan walon ko dekh
hae tu bedad ki thokar ke pamalon ko dekh

zulm hai jaur-o-jafa hai har taraf bedad hai
gardish-e-dast-e-sitamgar se jahan barbaad hai

dekhiye jis ko wahi maghmum hai nashad hai
bachcha bachcha hind ka ab mail-e-fariyaad hai

zulm kya kya ho rahe hain aaj masumon pe dekh
tutta kya kya sitam hai aaj mazlumon pe dekh

jel-khanon mein hue jate hain ab behaal se
sakhtiyon se jabr se aur bhuk ki hadtal se

kya bataen haal ai khaliq zaban-e-haal se
aa rahi hai ye sada punjab se bangal se

waqf zindan kar diye hain be-gunahon ke liye
naunihaalan-e-watan ke peshwaon ke liye

ek musibat ho to sah bhi len yahan bhar-mar hai
be-kasi-o-yas-o-hasrat darpae-azar hai

gardanon pe tegh hai khanjar hai aur talwar hai
aur banduqon ki dil par goliyon ki mar hai

phir bhi ai bhagwan hum sina-sipar hain dekh le
sirf tere nam par bandhe kamar hain dekh le

mehr kar apne karam ki apni daulat de hamein
zulm sahne ke liye behad tu quwwat de hamein

das si taqat de aur us si shahadat de hamein
lad maren baatil se haq par wo shujaat de hamein

zulm ki hasti mita den nala-e-shab-gir se
phunk den zulm-o-sitam ko koh-e-atish-gir se

hurriyat ka nam tak ab lab pe lana jurm hai
nara-e-qaum-o-watan tak ab lagana jurm hai

kushtagan-e-sang-dil ka din manana jurm hai
madar-e-hindostan ko gham sunana jurm hai

hukm-e-qatil hai tadapna aur rona hai mana
zakhm khana hai rawa aur aah karna hai mana

har taraf ho jazba-e-hubb-e-watan shoala-fishan
gulkhan-e-sozan nazar aae yahan ka har jawan

hath mein ho parcham-e-azadi-e-hindostan
ga rahi hon git aazadi ka har su wadiyan

phir yaqin aae 'sukhan' ye inqilab hai zindabaad
hindu-o-muslim ka han ab rang laya hai jihad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close