aazadi

wo din tha bada hi tarikhi jab hum ko mili thi aazadi
is jang mein shamil the kitne 'azad' 'jawahar' aur gandhi

pandrah ye august jo aa pahuncha maghrib se najat hum ne pai
tutin zanjir ghulami ki kitni ye mubarak saat thi

is din ko manaen khushiyon se aur sah range ko lahraen
un wiron ko hum yaad karen jin ki mehnat bar aai thi

jannat se hai badh kar aazadi har saat apni saat hai
kashmir se kannya kumari tak masrur hui hai har wadi

us ki khatir jo waqt pade hum apni jaan luta denge
hai fakhr hamein aazad hain hum 'abrar' hai neamat aazadi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close