mujhe achchhe lagte hain baadal jab wo baraste hain aur aankhen jin mein koi bhi basera kar sakta hai bakriyan aur bachche jo sadak par kar jate hain aur nahin dekh pate us aahani hath ko jo un ke taaqub mein dauda chala aata hai mujhe achchhe lagte hain dakiye ke qadam aur insomniya ki chae aur bujhi batti ka motor cycle jo ishaara katte hue raat mein rasta banata guzar jata hai baghi nind darakht aur khwab jo is bedari ke mausam mein kahin dikhai nahin dete mujhe achchhe lagte hain faraghat aur dukh se bhare din aur raaten jab dur dur tak barish hoti hai aur aabai makanon ki wo sham jab bahnon ko rukhsat kiya jata hai pahad ke par ke andhiyare ki jaanib aansu aur dhund jin mein saf dekha ja sakta hai aur dil jinhen nishana banaya jata hai aur mitti jis ki jaanib hamein lautna hai mujhe achchhe lagte hain dariche jin se hawa guzarti hai darwaze jo kabhi band nahin hote aur dost jin ke kandhon par hamesha hath rakha ja sakta hai aur tum lapakte hue hathon aur duniya ke darmiyan kya kuchh maujud hai