bahaar aai hai gulshan shadman hai bahut rangin chaman ki dastan hai hujum-e-naznin-o-mahwishan hai tirange ko zara uncha uthao rafiqo jashn-e-azadi manao tumhin se qaum ki hai jah-o-hashmat tumhin se hai watan ki shan-o-azmat tumhein dena hai ab dars-e-mohabbat qadam ek sath sab mil kar badhao rafiqo jashn-e-azadi manao mita do bughz-o-kina fitna-o-shar wo ghuncha ho ki kanta ya gul-e-tar barabar sab ka haq hai gulsitan par yahi sab se kaho sab ko batao rafiqo jashn-e-azadi manao sanwaro is tarah se sehn-e-gulshan rahen mil-jul ke sab shaikh-o-barahman ho gosha gosha is dharti ka raushan ahinsa ka sabaq sikho sikhao rafiqo jashn-e-azadi manao mita do hind se be-rozgari naya fan ho nai ho dast-kari tijarat mein badhe shohrat tumhaari watan ko apne ek jannat banao rafiqo jashn-e-azadi manao muhafiz ho nigahban-e-chaman ho tumhin to jaan-o-ruh-e-anjuman ho sikhana kya tumhein tum ahl-e-fan ho charagh-e-fikr-o-fan se nur lao rafiqo jashn-e-azadi manao