zindagi teri ai tair hai bahut hi masrur gham se duniya ke nahin hota kabhi tu ranjur teri rudad masarrat bhara afsana hai josh-e-parwaz mein tu mahw hai diwana hai udta rahta hai tu marzi ke mutabiq apni kaif-o-rahat se hai har-dam teri mamlu hasti din-o-duniya ke riwayat se begana hai zindagi teri chhalakta hua paimana hai dasht-o-sahra mein kabhi aur kabhi gulzaron mein barg-o-gul par hai kabhi to kabhi kohsaron mein sham ke waqt chahakna tera bhata hai mujhe tera har git suhana pasand aata hai mujhe subh-dam jab kabhi main su-e-chaman jata hun jis taraf uthti hain nazren main tujhe pata hun wadi-o-koh mein tu hai kabhi sahraon mein aashiyan ek nahin koi tera duniya mein hai darakhton pe kabhi dasht kabhi gulshan mein bhul se aa bhi kabhi kash mere daman mein aa ki naghme nae pur-lutf sunaun tujh ko aa ki aaghosh mein lun aur khilaun tujh ko hae kyon tair-e-azad tujhe wahshat hai mera hote hue bhi mujh se tujhe nafrat hai kis qadar hae alag mujh se phira karta hai dur bekar tu kyon mujh se raha karta hai wajh-e-beganagi ai kash bata de tu mujhe sarguzasht-e-dil-e-masrur suna de tu mujhe