ye sach hai ab aazad hain hum mitti se sugandh ye aati hai ai jaan se pyare ham-watano abhi kaam bahut kuchh baqi hai aazadi pahli manzil thi tha hausla sab ne sath diya kanton se bhare in raston ko zakhmi pairon se par kiya aage dekha mahbub-e-nazar baitha wo hamara saqi hai ai jaan se pyare ham-watano abhi kaam bahut kuchh baqi hai ye desh bana qurbani se jaanen qurban huin kitni aankhon mein mulk ka naqsha tha parwah unhen kab thi apni takhton pe khade ho kar jab bhi phuli dekha har chhati hai ai jaan se pyare ham-watano abhi kaam bahut kuchh baqi hai jab dhol nagade bajte the hum jujhte the band kamron mein mansubon par mansube the ganw ke wo hon ya shahron ke hum thake nahin badhte hi chale ki aage hamara sathi hai ai jaan se pyare ham-watano abhi kaam bahut kuchh baqi hai ye desh bana ek gul-dasta badnam na hone denge ise mazhab ke nam pe bantne ka jo kaam kare bas roko use gar shurua hui khana-jangi phir kahe ki aazadi hai ai jaan se pyare ham-watano abhi kaam bahut kuchh baqi hai hai mulk bada to masle hain hal hone hain hal honge bhi dil haarna shobha deta nahin aae chahe sau mushkil bhi bas khot nahin ho niyyat mein ye hua to phir barbaadi hai ai jaan se pyare ham-watanon abhi kaam bahut kuchh baqi hai bas ek guzarish hai tum se jab qadam uthen har qaum ho sath bhulen mazhab aur jati ko ho dil mein desh hathon mein hath tab pata chale is duniya ko yahan ab bhi nehru gandhi hai ai jaan se pyare ham-watanon abhi kaam bahut kuchh baqi hai