main bhuki nasl hun mere malul o muzmahil chehra pe thandi chandni ka aks mat dhundo mera be-rang-o-bu chehra jami hai an-ginat faqon ki jis par dhul barson se zamin ke chand firaunon ko apni khashmagin nazron se takta hai mere ajdad bhi meri tarah bhuke the lekin mujh mein aur un mein zamin-o-asman ka farq hai shayad wo apni bhuk ko taqdir ka likkha samajhte the qanaat un ka takiya tha tawakkul un ka shewa tha magar main aisi har jhuti tasalli ka mukhalif hun muqaddar ke andheron mein nahin mera yaqin hai raushni-e-subh-e-farda mein main bhuki nasl hun mere labon par nala-o-fariyaad ki lai ke ewaz ek aag hai tewar mein ghussa hai ye wo ghussa hai jis se mera dushman thartharaata hai