hum aazadi ke diwane ye duniya farzanon ki is papi sansar mein baba kaun sune diwanon ki masjid mandir sab ke andar raj ghulami karti hai daulat le kar nam khuda ka ghar ghar dharna dharti hai kothi bangle gore sanpon ki ek aisi basti hai jo bhaarat ke bhole-bhaale insanon ko dasti hai un se bach kar chalna baba ye qatil zahrile hain surat ke mohan hain bhitar se sab nile pile hain shaida hun aazadi ka aazad-nagar mein dera hai kya batlaun mere bhayya kaun jahan mein mera hai wo mera jo aazadi ki zulfon ka diwana hai wo mera jo sham-e-watan ka shaidai parwana hai wo mera jo maut ke aage be-jigari se tanta hai wo mera jo aap na ho kuchh jis ki sab kuchh janta hai wo mera jo hanste hanste phansi par chadh jata hai wo mera jo maut se bhi do chaar qadam badh jata hai aazadi ke talib sun le maut hi meri manzil hai tu duniya ka ban sakta hai mera banna mushkil hai