hawa ka taaqub kabhi chand ki chandni ko pakadne ki khwahish kabhi subh ke hont chhune ki hasrat kabhi raat ki zulf ko gundhne ki tamanna kabhi jism ke qahr ki madh-khwani kabhi ruh ki be-kasi ki kahani kabhi jagne ki hawas ko jagana kabhi nind ke band darwaze ko khatkhatana kabhi sirf aankhen hi aankhen hain aur kuchh nahin hai kabhi kan hain hath hain aur zaban hai kabhi sirf lab hain dilon ke dhadakne ke andaz ab ke baras kuchh ajab hain