aadmi

tha kabhi ilm aadmi dil aadmi pyar aadmi
aaj-kal zar aadmi qasr aadmi car aadmi

kulbulati bastiyan mushkil se do-chaar aadmi
kitna kamyab aadmi hai kitna bisyar aadmi

patli gardan patle abru patle lab patli kamar
jitna bimar aadmi itna trahdar aadmi

zindagi niche kahin munh dekhti hi rah gai
kitna uncha le gaya jine ka mear aadmi

umr bhar sahra-nawardi ki magar shadi na ki
qais diwana bhi tha kitna samajhdar aadmi

danish-o-hikmat ki sari raushni ke bawajud
kam hi milta hai zamane mein kam-azar aadmi

dil rahen hain sauma-e-dastar rehn-e-mai-kada
tha zamir 'jafari' bhi ek mazedar aadmi

pahle kashti dub jati thi nazar ke samne
ab girega bahr-e-oqiyannus ke bar aadmi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close