(1) garm-joshi ab suraj sar par aa dhamkega thanda loha chamkega aur dhup jawan ho jaegi sathiyae hue farzanon par ab zist giran ho jaegi har asl ayan ho jaegi ab khub hansega diwana ab aag bagule nachenge sab langde lule nachenge girdab-e-bala ban jaenge rondi hui mitti ke zarre tufan-ba-pa ban jaenge sahra dariya ban jaenge ab khub hansega diwana ab susti jal bichhaegi ab dhons na chalne paegi mazduron aur kisanon par ab sukha khun nichodne wale roenge nuqsanon par in kheton in khaliyanon par ab khub hansega diwana ab pili dhat ki bimari phaila na sakenge biyopari lohe ka loha manenge sone ki gahri kanon mein so jaana behtar jaanenge dar dar ki khak na chhanenge ab khub hansega diwana ab khun ke sagar kholenge insan ke jauhar kholenge chadh jaegi tap sahraon ko utthegi umad kar lal aandhi pi jaegi dariyaon ko bandhega tund hawaon ko ab khub hansega diwana har zulf se bichchhu lapkenge aankhon se sharare tapkenge sayyaadon husn-shikaron par ghusse ka pasina phutega moti ban kar rukhsaron par is dhup mein chand sitaron par ab khub hansega diwana ab dudh na dengi bhainsen gaen uf uf karne lagengi maen bachche mam mam chikhenge aur unghne wale nikhtu shauhar aql-e-mujassam chikhenge sab darham-barham chikhenge ab khub hansega diwana ab khanqahon ki murda udasi roz-e-azal ki bhuki pyasi jhumegi mai-khanon par ab saqi mughche pir-e-mughan bechenge waz dukanon par in zahr bhare paimanon par ab khub hansega diwana zor-awari se kamzoron ki ab jeb kategi choron ki aur mandi sahu-karon ki ab bhuki hu-haq sair karegi mandiyon aur bazaron ki gat dekh ke duniya-daron ki ab khub hansega diwana jina dil gurda dhundega har zinda murda dhundega koi kona-khadra tah-khana ab har jangal mein mangal hoga har basti mein virana ek nara laga kar mastana ab khub hansega diwana (2) sard-mehri ab jada jhande gadega aur fil-e-falak chinghadega ab baadal shor machaenge ab bhut falak par chadh daudenge dharti ko dahlaenge hansne ke maze ab aaenge ab khub hansega diwana aiwan karenge bhaen bhaen phuns ki jhonpadiyon mein hawaen saen saen gunjengi is gunj mein bhuke nangon ki sunsan sadaen gunjengi viran saraen gunjengi ab khub hansega diwana ab bijli ke kodon se hawa shamshir-ba-kaf zanjir-ba-pa lohe ke rathon ko hankenge ek ek dhuen ke mahmil se sad husn ki malika jhankegi ab aag angare phankegi ab khub hansega diwana ab thandi aahon ke parnale pale aafat ke par kale kande tole barsenge ab aahan thanda pad jaega aahan ke gole barsenge har sar par ole barsenge ab khub hansega diwana takhrib ki topen chhutengi tamir ki kaliyan phutengi har goristan-e-shahi mein baala-e-hawa zer-e-dariya ghul hoga murgh o mahi mein is nau-abaad tabahi mein ab khub hansega diwana ab nagin banbi garmaegi sanp ki lali lahraegi kale aatish-danon mein danaiyan kenchuli badlengi shahron ke bandi-khanon mein aur dur khule maidanon mein ab khub hansega diwana bhus khali pet mein bhar na sakega koi tijarat kar na sakega sukdi sukdi khaalon ki ab mandh bhi jae to baj na sakegi naubat paise walon ki bekari par dallalon ki ab khub hansega diwana ab dal na jagiron ki galegi aag magar din raat jalegi chamde ke tannuron mein ab kal padega ghalle ka beyopariyon be-maqduron mein aur pet bhare mazduron mein ab khub hansega diwana ab gadha pasina bunne wale odhe phirenge shaal do-shaale muft na jhulen jhulengi phule hue gal ab pachkenge pichki hui tonden phulengi sab aqlen chaukdi bhulengi ab khub hansega diwana