zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko khuda kya likhna patthar ko guhar diwar ko dar kargas ko huma kya likhna ek hashr bapa hai ghar mein dam ghutta hai gumbad-e-be-dar mein ek shakhs ke hathon muddat se ruswa hai watan duniya-bhar mein ai dida-waro is zillat ko qismat ka likha kya likhna zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko khuda kya likhna ye ahl-e-hashm ye dara-o-jam sab naqsh bar-ab hain ai hamdam mit jaenge sab parwarda-e-shab ai ahl-e-wafa rah jaenge hum ho jaan ka ziyan par qatil ko masum-ada kya likhna zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko khuda kya likhna logon pe hi hum ne jaan wari ki hum ne hi unhi ki gham-khwari hote hain to hon ye hath qalam shaer na banenge darbari iblis-numa insanon ki ai dost sana kya likhna zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko khuda kya likhna haq baat pe kode aur zindan baatil ke shikanje mein hai ye jaan insan hain ki sahme baithe hain khunkhar darinde hain raqsan is zulm-o-sitam ko lutf-o-karam is dukh ko dawa kya likhna zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko khuda kya likhna har sham yahan sham-e-viran aaseb-zada raste galiyan jis shahr ki dhun mein nikle the wo shahr dil-e-barbaad kahan sahra ko chaman ban kar gulshan baadal ko rida kya likhna zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko khuda kya likhna ai mere watan ke fankaro zulmat pe na apna fan waro ye mahl-saraon ke basi qatil hain sabhi apne yaro wirse mein hamein ye gham hai mila is gham ko naya kya likhna zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko khuda kya likhna