ababil ko samt do

suno
raat kahti hai kya

us ke lab tirgi mein khule
aur sadiyon ki dahshat siyahi

bhayanak andheron ke malbe ko
aane lagi jhurjhuri

chikhti ek ababil
khali darichon shikasta si mehrab aur karb-alud sahme

hue taq ki
kashmakash jhelti

daere khat musallas ke gham khinchti phadphadane lagi
dard kis

be-zaban gham-zada sar-burida mujassam ka hai
khun apna sanbhaalo zara

hadse ke samundar mein is sans ko
ab uchhaalo zara

sahili pur-sukun paniyon se ubharti hui
rasmasahat ke pichhe

chhupa kaun hai
la-zamin la-makan aur la-jism

ye qatra qatra lahu
chand se ek jazire ke ‘irfan mein

ru-ba-sailab hai
aabshaaron se girti hui

an-ginat barq si be-tamasha nai ungliyon ki hansi
in nigahon mein jab

gudgudi pherne aur sargoshiyon mein har ek an-kahi
rone ke liye

tum se milne ko betab hai
to is raat ke kasmasate hue hont ka

dil suno
aur ababil ko samt do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close