koi kapde pe bute kadhe koi phul banae koi apna baalak pale koi ghar ko sajae koi bas aawaz ke bil par bujhte dip jalae koi rangon se kaghaz andar jiwan jot jagae koi patthar inten jode taj-mahal banae koi mimbar upar kuke pap agni se darae koi ghunghru bandh ke nache ang kala dikhlae koi dharti kyari sinche phal-phulwari ugae koi mitti gundhe us ko mans saman banae koi baitha aankhen miche gunge shabd bulae ek hi sab ko rog hai par tu har man ko barmae kaise koi duje ko nit apna aap dikhae