jahan tum ye nazm khatm karogi wahan ek darakht ug aaega shikar ki ek muhim mein tum us ke pichhe ek darinde ko halak karogi kashti-rani ke din us se apni kashti bandh sakogi ek inam-yafta taswir mein tum us ke samne khadi nazar aaogi phir tum use bahut se darakhton mein gum kar dogi aur us ka nam bhul jaogi aur ye nazm