mera ghar ajnabi lagta hai kyun aakhir wo rahen bhi jo ghar tak le ke jati hain kabhi thin aashna mujh se magar na-ashna ab hain bahut mayus hun sab se mujhe pahchanne wala nahin koi koi rishta bhi ab apna nahin lagta yahan ki reshmi subhen ujale apne aangan ke udasi se bhari shamen chamakte raat ke tare sabhi ye mujh se kahte hain ki ab ke jab safar karna jahan jaana wahin rahna abas hai us jagah aana abas hai laut kar aana