sab ki sunte raho pyar karte raho aur kuchh na kaho chahe bolen na wo lab ko kholen na wo dil alag baat hai apne lahja mein bhi pyar gholen na wo apna jo farz hai is tarah ho ada jaise ek qarz hai koi jo kuchh kahe us ki sunte raho pyar karte raho or kuch na kaho be-khayali mein hi lab agar khul jaen aur zaban par kabhi koi sach aa gaya yun samajh lun ki phir silsile jitne the darmiyan jo bhi tha khwab dekhe the jo sab bikher jaenge aisa karna nahin sab ki sunna magar tum bikharna nahin masle sab ke sab hain safed-o-siyah masalon main kabhi rang bharna nahin dil mein gar pyar ho lab pe iqrar ho pyar hi pyar bus harf-e-izhaar ho gar ana ye kahe dil na mil paenge is pe mat jaiye khoti he ye ana is se kuchh na bana dil ki baaten suno fasle se sahih pyar karte raho aur kuchh na kaho rasta ek hai muddaa ek hai ek hamari hai kya sari duniya ka hi silsila ek hai ek aae the hum ek aae the tum ek hai ye safar bhid kitni bhi ho apni apni jagah har koi ek hai nam hain go juda par khuda ek hai bus khuda ki tarah sab ki sunte raho pyar karte raho aur kuchh na kaho kahne sunne se to kuchh badalta nahin raat jati nahin din thaharta nahin hone wala hai kya kuchh bhi khulta nahin waqt kam hai bahut itne kam waqt mein jis qadar kar sako pyar karte raho aur kuchh na kaho