is lamhe ki tum mere sath ho khuda mere nazdik hai main us ke qadmon par sar rakh deta hun apni kamyon, bad-nasibon aur be-waqufiyon ko bhul kar us ke shafqat bhare hathon ka lams apni pith par mahsus karta hun dekhte dekhte hara-bhara darakht ban jata hun jaise mein ek nahin, kai zindagi ji raha hun jaise main ek nahi, kai ashiya mein badal gaya hun chhote se chhote zarre mein kaenat ki kaenat sarsaraati hai tamam raste mujhe apni taraf aate hue dikhai dete hain lagta hai thodi der ke liye zamin ruk gai hai logon ne apni nafraten apni jebon mein bhar li hain aur mujhe khush-amdid kah rahe hain