shahr tu apne gande panw pasare dariya ke kinare leta hai aur tere sine par rengti hui chyuntiyan suraj ko ghur rahi hain jab nisf darjan ghair-mulki hakimon ne mushtarka taur par ailan kiya maraz sangin hai aur ye bahut jald hi mar jaega to kisi chechak-zada bachche ki tarah tu ne unhen dekha aur khamosh ho raha ghaliz badkar be-rahm shahr log kahte hain tu badkar hai aur main ne khud dekha hai sar-e-sham tere range chehre wali aurten ladkhadate nau-jawanon ko nigal jati hain be-rahm jab raat gae tere danish-war rickshaw kiye khud-kushi karne jate hain tu khamosh rahta hai shahr main teri diwana-kun khwahishon se be-zar hun shahr tu apne gande libas kab utarega shahr log kahte hain marne ke baad meri haddi se button banaenge shahr teri diwaron par ye kaisi tahriren hain shahr main ne mahinon se akhbar nahin padha shahr tu chae mein shakar dalna bhul gaya hai aur ye tere aansuon ki tarah lag rahi hai shahr mujhe nind aa rahi hai thapak kar sula de