kya kar rahi hain aap yahan jald aaiye ammi kahan hai abba ki ainak bataiye rakh kar yahin kahin use bhule hain dekhiye jhule mein ittifaq ke jhule hain dekhiye kije jo koi baat to jhunjhla rahe hain wo collage ka waqt ho gaya jhalla rahe hain wo un ki nazar mein apni hi har chiz ghair hai takiya hai apni ja pe na chadar ba-khair hai chizen jo mez pe thin wo sab hi palat gain takiya hai apni ja pe na chadar ba-khair hai chizen jo mez pe thin wo sab hi palat gain ek ek kar ke sari kitaben ulat gain kamre ka haal ghair hai aa kar bachaiye ammi khuda ke waste ab aa bhi jaiye ammi ye sun kar daud kar aain ba-iztirab abba se ham-kalam huin aate hi shitab kya kar rahe hain aap zara hosh kijiye rakhi kahan thi aap ne ainak ye sochiye abba ye kahne pae the ki bas usi jagah itne mein ammi bol uthin khub wah wa wallah kis kamal ke hain aap aadmi ajdad mein do ek rahe honge falsafi kije durust jaiye collage ba-sad shitab ainak dhari hai aap ki peshani pe janab